Namaz ke baad ke Azkar

DUA AFTER SALAH

✦ :Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se riwayat hai Aap Sallallahu Alahih Wasallam ki Namaz ko Mukammal hona Takbir (Allah hu Akbar) ki wajah se samjh jate thay
(Yani Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam Namaz ke baad Allahu Akbar padhte they)
Sahih Bukhari , 842

✦ Rasool-Allah ﷺ jab apni namaz se farig hote to 3 baar astagfar padhte (Astagfirullah, Astagfirullah,Astagfirullah) Sahih Muslim, Jild 2, 1334

✦ Rasool-Allah ﷺ jab apni namaz se farig hote to 3 baar astagfar padhne ke baad ye dua padhte
——
اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ‏
✦ Allahumma Antas-Salam wa minkas-salam. Tabarakta Ya Dhal-jalali wal-ikram.
Ya Allah tu hi As-Salam hai aur salamati teri hi taraf se hai, tu barkat wala hai, Eh jalal wale aur ezzat bakhshne wale.
Sahih Muslim, Jild 2, 1334

Hadith: Main tumhe waseeyat karta hu ki har namaz ke baad is dua ko parhna kabhi na chorhna
✦ Muadh bin jabal Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sall-Allahu Alaihi Wasallam ne mera haath pakad kar farmaya Allah ki kasam main tumse muhabbat karta hu Eh Muadh, aur main tumhe waseeyat karta hu ki har namaz ke baad is dua ko parhna kabhi na chorhna

اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ ‏
Allahumma Aainni Ala Zikrika WA Shukrika WA Husni ibadatika
(Tarjumah: Ya Allah, meri madad kar tera zikr karne mein , aur tera shukar ada karne mein aur teri achchi ibadat karne mein)
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1509-Sahih

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab har namaz ke baad salam pherte to ye farmate
—-
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، وَحْدهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهْوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ،اللَّهُمَّ لاَ مَانِعَ لِمَا أَعْطَيْتَ، وَلاَ مُعْطِيَ لِمَا مَنَعْتَ، وَلاَ يَنْفَعُ ذَا الْجَدِّ مِنْكَ الْجَدُّ
✦ La ilaha illa-l-lahu wahdahu la sharika lahu; lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd, wahuwa Ala kulli shai’n qadir. Allahumma la mani’a Lima Aataita, Wa la Muatiya Lima manata, Wa la yanfau Zaal-Jadda Minkal-jadd.
—-
Tarjuma : ALLAH ke siwa koi maabud nahi wo Tanha hai uska koi Sharik nahi , mulk uske liye hai, aur usi ke liye tamam tareefein hain aur wo har cheej par kudrat rakhne wala hai. Eh ALLAH jo kuch tu dena chahe use koi rokne wala nahi, aur jo kuch tu rokna chahe use koi dene wala nahi aur tere samne daulat walon ki daulat kuch kaam nahi aa sakti – { Sahih Bukhari, Jild 8, 6615 }

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Namaz ke bad buland awaz se ye kalmat irshad farmate
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam har Namaz ke bad ye kalimat padha karte they

لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ، لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ، لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، وَلَا نَعْبُدُ إِلَّا إِيَّاهُ، لَهُ النِّعْمَةُ وَلَهُ الْفَضْلُ، وَلَهُ الثَّنَاءُ الْحَسَنُ، لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ وَلَوْ كَرهَ الْكَافِرُونَ

✦ Laa ‘ilaaha ‘illallaahu wahdahu laa shareeka lahu, lahul-mulku, wa lahul-hamdu wa huwa ‘alaa kulli shay ‘in qadeer.
Laa hawla wa laa quwwata ‘illaa billaahi, laa ‘ilaaha ‘illallaahu, wa laa na’budu ‘illaa ‘iyyaahu, lahun-ni’matu wa lahul-fadhal, Wa lahus-thanaa’ul-hasan, Laa ‘ilaaha ‘illallaahu mukhliseena lahud-deena wa law karihal-kaafiroon.

ALLAH ke siwa koi mabud nahi wo Tanha hai uska koi Sharik nahi , Mulk usee ke liye hai, aur usi ke liye tamam tareefein hain aur wo har cheez par kudrat rakhne wala hai. Allah ki madad ke bagair gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki quwwat nahi Allah ke siwa koi mabood nahi Aur ham sirf usee ki ibadat Karte hai ,usee ki tarf se inaam hai aur usse ke liye fazal hai aur usee ke liye behtareen hamd hai
Allah ke siwa koi mabood nahi , Ham usee ke liye bandgi ko khalis Karne wale hain, chahe kafir usko bura mane
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1493-Sahih

Hadith : Uske gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho
Rasool-Allah Sall-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo har namaz ke baad
33 baar سُبحـان اَللّه SubhanALLAH ,
33 baar الْحَمْدُ لِلَّهِ Alhamdulillah ,
33 baar اللّهُ أَكبَر Allahu Akbar ,

kahe to ye 99 kalme honge aur usko Ye kahkar 100 kar le yani ek baar ye padh le
لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
✦ La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir
to uske gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho Sahih Muslim, Jild 2, 1352

✦Hadith: Har Farz Namaz ke bad Aayat ul kursi padhne ki Fazeelat
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne har farz namaz ke baad Aayat Al kursi padhi to Jannat aur uske darmiyan maut ke siwa koi aur cheez rukawat nahi (Yani maut ke baad usko Jannat naseeb hogi)
{Al-Silsila-As-Sahiha Hadees – 749-Sahih } { Tabrani Al Kabeer, 6532-Hasan } { Sahih Al Jame , 6464-Sahih }

بسم اللّه الرحمن الرحيم
اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ
لاَ تَأْخُذهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ
لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ
مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ
يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ
وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ
وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالأَرْضَ
وَلاَ يَئُودهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ

✦ Allahu La ilaha illa huwa , Alhayyul Qayyum ,
La ta khudhuhu (Kuzuhu) sinatuw wa la naum,
Lahu ma fissamawati wa ma fil ardh (Ard)
man dhalladhi ( zallazi) yashfaoo, Eendahu, illa be-eznih,
ya’alamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum,
wa la yuhituna beshayeem-min eelmih, illa bima shaaa,
wasiya kursiyyuhus samawati wal ardh (ard)
wala yaooduhu hifdhuhuma (Hizuhuma) wahuwal Aleeyul adheem (azeem).
✦ Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255

——-
✦ Tarjuma Aayat Al-Kursi
ALLAH ke siwa koi ibadat ke layaq nahi,
Zinda hamesha rahne wala,
use na ungh aati hai na neend,
jo kuch Aasmano aur jo kuch zameen mein hai sab usi ka hai,
kaun hai jo uski ejazat ke bagair us sey sifarish kar sake,
jo kuch logo ke ru baru (samne) ho raha hai aur jo kuch unke peeche ho chuka hai usey sab malum hai
aur wo uske malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar sakte magar jitna ke wo chahe,
uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hai
aur use unki hifazat kuch bhi dushwar nahi
wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr hai
Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255

✦ Al Quran : Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai Surah Al-ikhlas (112)

Hadith: Ye teen surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi
——-
✦ Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas padh liya karo , ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain)
Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan
✦ Uqba bin amir radi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya har namaz ke baad aakhri teen surah yani Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padha karo
Al Silsila As sahiha, 2776

10✦ Jo Fajr ki Namaz ke baad 10 baar is Azkar ko padhega to us din har burayee se mehfooz rahega
——-
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
✦ Tarjumah: Allah ke siwa koi sachch mabud nahi hai wo akela hai aur uska koi sharik nahi, usee ke liye baadshahat hai aur usee ke liye tarif hai wo hi zinda karta hai aur wa hi maarta hai aur wo har cheez par qadir hai
—-
✦ Abu Dharr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs fajr ki namaz ke baad do zanu hokar baitha rahe (jis tarah tashahud mein baithta hai ) aur phir kisi se baat kiye bagair 10 baar ye padhe to uske liye 10 nekiya likh di jayengi , 10 gunah maaf kar diye jayenge, 10 darjat buland kiye jayenge Aur us din har burayee se mehfooz rahega, Aur usko shaitan ki pahuch se dur kar diya jayega aur usko us din shirk ke alawa koi gunah halaq nahi kar sakega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1399-Hasan

✦:Umarah bin Shabib As-Sabai radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo shakhs magrib ke baad 10 baar ye padheto Allah subhanahu uski hifazat ke liye farishte bhejega jo subah tak shaitan se uski hifazat karenge, uske liye 10 rahmat ki nekiya likh di jayegi, uske das barbad kar dene wale gunah mita diye jayenge, aur 10 musalman gulam aazad karne ka sawab ata kiya jayega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1457-Hasan

✦ Fajr ki Namaz ke baad padhne ki dua
——-
✦ Umm Salma Radi Allahu anha se rivayat hai ki RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab subah ki namaz mein salam pherte to uske baad ye dua padhte
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا، ‏‏‏‏‏‏وَرِزْقًا طَيِّبًا، ‏‏‏‏‏‏وَعَمَلًا مُتَقَبَّلًا
Allahumma inni Asaluka ilman Nafiaa, Wa Rizqan Tayyiba Wa Amalan Mutaqabbala
✦ Eh Allah main tujhse nafa dene wale ilm aur pakiza rizq aur qubul hone wale amal ka sawal karta hun
Sunan ibn Maja, Jild 1, 925-Sahih