Islamic Quiz syllabus

Aaaj ke Sawalath enme se honge

REFERENCE – Topic

Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hai ek admee ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki khidmat mai arz ki mera padosi mujhe taklif de raha hai Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne (hikmat aamli ke taur par) farmaya jaa kar apna saman nikalo aur baahr raste mein rakh do wo ghar pahucha aur saman nikal Kar raste mai rakh diya, log jama ho gaye aur puchne lage ke tumhein kya ho gaya hai unhone bataya ke mera padosi mujhe tang karta hai maine Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se shikayat ki thi toh Aap Sallallahu Alaih Wasallam ne mujhe hukm diya ke apna saman nikal kar raste mai rakh do, ye sun kar wo log kehne lage ke Ya Allah aise admee par lanat farma aur usay zalil farma, jab ye padosi ko pata chala toh kahne laga apna saman uthao aur apne ghar le jao, Allah ki kasam aaj ke baad mein tumehin tang nahi karunga

Al Adab Al Mufrad (Imam Bukhari ) 124- Sahih

REFERENCE – Topic

✦Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kisi ka Allah Subhanahu ke raste mai khade rehna apne ghar mai 70 saal Namaz padhte rehne se behtar hai , kya tumlog nahi chahte ho ke Allah Subhanahu tumhare gunaho ko baksh de aur tumko jannat mai dakhil kar de Allah Subhanahu ki raah mai jihad karo jisne Allah Subhanahu ki raah mai do baar doodh dhone ke darmiyan ke waqfe ke barabr jihad kiya uske liye jannat wajib hogi
Jamia Tirmazi Jild 1 , 1703 Hasan

REFERENCE – Topic

✦Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se kisi ke paas shaitan aata hai aur tumhare dil main pahle toh ye sawal paida karta hai ke falah cheez kisne paida ki, falah cheez kisne paida ki aur aakhir mein baat yaha tak pahuchti hai ke khud tumare RABB ko kisne paida kiya ? Jab kisi shakhs ko aisa waswasa dale toh us se Allah Subhanahu ki panah mangna chahiye ( yani Aawuzubillahi minash-Shatannir Rajeem padhna chahiye)
Sahih Bukhari-3276

REFERENCE – Topic

✦Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya beshak tum mein se kisi ke paas shaitan aakar kahta hai kisne asman ko paida kiya wo kahta hai Allah Subhanahu ne wo phir Sawal karta hai Zameen ko kisne paida kiya wo jawab deta hai Allah Subhanahu ne itne mai wo ye sawal kar deta hai achcha toh Allah Subhanahu ko kisne paida Kiya bas jab tum main se koi iss sawal ko mehsus Karen toh wo kahe Aamantu Billahi Wa Bi Rasoolihi (Mein Allah aur Uske Rasool par Imaan laya hu)
Masnad Ahmed-8358-Sahih

REFERENCE – Topic

✦Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Quran padha karo kyunki ye Qayamat ke din apne padhne walo ke liye sifarishi ban kar aayega aur do chamakti surtein padha karo ek surah baqara aur dusri Surah Aal-e-imran, kyunki wo Qayamat ke maidan mein is tarah aayengi jaise ki do badal hain, ya do saayeban ya do tukdiyan hai udte huye jaanwaro ki aur apne logo ki taraf se hujjat karti huyee aayengi (yani uske padhne walo ke liye sifarish karengi) Surah baqara ko padha karo kyunki iska padhna barkat hai aur iska chorh dena hasrat hai aur jadugar log iska muqabla nahi kar sakte
Sahih Muslim, Jild 2, 1874

REFERENCE – Topic

✦Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jannat mein ek Darakht is qadar badha hai ki ek Oont sawar 70 ya 100 baras tak uske saaye mein chal sakta hai wo Shajratul Khuld hai
Musnad Ahmed : 13280 -Sahih

REFERENCE – Topic

✦Al Quran : ( Jab Adam alaihi salam ke bete Qabil ne Apne bhai Habil ko Qatl kar diya) to Phir Allah Subhanahu ne ek kawwa bheja jo zameen kuredne laga take usko dikhaye ki apne bhai ki laash ko kis tarah chupaye (yani dafan karey) , ye dekh kar kahne laga haay mujhse itna bhi na ho saka ke is kawwe ke barabar hota ke apne bhai ki laash chhupa deta phir woh afsos karne laga
Al Quran Surah Al Maida 5 : 31

 

REFERENCE – Topic

✦Al Quran : (Yusuf Alaihi Salam ne) kaha ki mera ye kurta le jao aur usko mere walid (yaqub alaihi salam) ke chehre par daal do taaki unki aankho ki roshni wapas aa jaye Aur apne tamam ahlo ayal ko mere pass le aoo jab kafila (misr se kurta lekar) rawana hua to unke walid ne kaha ki agar mujhko ye na kaho ki main bahak gaya hu to mujhe yusuf (Alaihi Salam) ki khushbu aa rahi hai wo kahne lage wallah aap isee purani galatfehmi mein mubtala hain , jab khushkhabri dene wala aa pahucha to Yaqub Alaihi salam ke chehre par kurta daal diya aur unki aankhoo ki roshni wapas aa gayee
Al Quran Surah Yusuf 12 : 93-96